Mera Dard Na Parh Pao Ge Wasi

Mere Chehray Se Mera Dard Na Parh Pao Ge Wasi
Meri Aadat Hai Har Baat Pe Muskra Dena
Read our latest collection of Chehra poetry from popular Urdu and Hindi Poets. We have a large database of poetry which is updated regularly.
Mere Chehray Se Mera Dard Na Parh Pao Ge Wasi
Meri Aadat Hai Har Baat Pe Muskra Dena
Is Shehr Mai Kitne Chehray Thay Kuch Yaad Nahi Sab Bhol Gaye
Ik Shakhs Kitabon Jesa Tha Wo Shakhs Zubani Yaad Hoa
Har Chehrey Mein Aata Hai Nazar Aik Hi Chehra
Lagta Hai Koi Meri Nazar Bandhy Hoye Hai
Bila Ki Chamak Us Ke Chehray Pe Thi
Mujhay Kya Khabar Thi Ke Mar Jaye Ga
Guzar Gye Hain Bohat Din Rafaqat-e Shab Mein
Ik Umar Ho Gyi Chehra Wo Chand Sa Dekhe
Tere Siwa Bi Kyi Rang Khush Nazar They Mgar
Jo Tuj Ko Dekh Chuka Ho Wo Aur Kya Dekhe
Kahan Qatal Badlte Hain Faqat Chehray Badalte Hain
Ajab Apna Safar Hai Fasle Bi Sath Chalte Hain
Bahut Kam Zarf Tha Jo Mehflon Ko Kar Gya Weran
Na Pocho Hal-e Yaran Sham Ko Jab Saye Dhalte Hain
Wo Jis Ki Roshni Kache Gharon Tak Bi Pahunchti Hai
Na Wo Suraj Niklta Hai Na Apne Din Badlte Hain
Umar Bhar Ham Yun Hi Ghalti Karte Rahe Ghalib
Dhol Chehray Par Thi Aur Ham Aeina Saaf Karte Rahe