Kabi Aansu,kabi khushbu,kabi naghma ban kr

Kabi Aansu,kabi khushbu,kabi naghma ban kr
hamse hr shaam mili hai tera chehra ban kr

chand nikla hai tere aankh k aansu ki tarhan
phool mehke hain tere zulf ka saya ban kr

meri jaagi hui raton ko usi ki hai talaash
so raha hai tri ankhon main jo sapna bn kr

dil k kaghaz pr utarta hai jo sheron ki tarhan
mere honton pr machalta hai jo naghma ban kr

mera kya haal hai kbi aa kr tu dekh to le
jee raha hun tera bhoola hua wada ban kr

din k ujaley main b nai bujti tere chehre ki chamak
ruh main pheel gya hai jo ujala ban kr

dhup main khoo gya hai hath chura kr wo ajnabi
ghar se sath chala tha jo mera saya ban kr

kbi ansoo,kbi khusbu,kbi naghma ban kr
hmse hr shaam mili hai tera chehra ban kr

Itna Hi Yaqen Tha By Habib Jalib

habib-jalib-inqlabi

Tum Se Pehle Wo Jo Ik Shakhs Yahan Takht Nashen Tha
Us Ko Bi Apne Khuda Hone Par Itna Hi Yaqen Tha

Koi Thehra Ho Jo Logo Ke Mad-e Muqabal To Btao
Wo Kahan Hain K Jinhain Naaz Bahut Apne Tain Tha

Ab Wo Phirte Hain Isi Shehr Main Tanha Liye Dil Ko
Ik Zamane Main Mazaj Un Ka Sare Arsh Barin Tha