Toot’te khawab

Nahi Me Gam Se Ubra Hun,kahi Ek Dard Baki He
Nahi Wo Ab Milegi Par,abhi Ummeed Baki He
Safar Me Ishk Ke Yaaro,main Kiya Kiya Dastan Likhu
Bahut Se Khawab Tute He,bahut Se Khawab Baki Hain

Bas Uski Yad Me Ab To,mujhe Khone Do Us Had Tak
Agar Me Ro Raha Hun To,mujhe Rone Do Us Had Tak
Bahut Aansu He Aankho Me,inhe Behne Se Na Roko
Bahe Jo Kuchh Nahi Ye To,abhi Sailab Baki He

Rahegi Jaan Jab Tak Ye, usay Na Bhol Paaun ga
Ke Jab Tak Mit Na Jaun Main,use Shiddat Se Chahunga
“husain’ Ab Baat Ye He To, abhi Kese Usay Bhulu
Abhi He Dhadkane Dil Me, Abhi Kuchh Saans Baki Hai

Submitted By: S Husain Ahmad

Bhula Diya Mujh Ko

Main Ney Us Sey Poucha
Bhula Diya Mujh Ko Kesay
Baja Kay Chutikiyan Wu Boli
Aesay, Aesay, Aesay

Submitted By: Waseem Abbas

Teri Yaad Mein Aankhein Roti Hain

nazam

Mein Ne Kaha Teri Yaad Mein Aankhein Roti Hain
Jawab Aya Ye Isi Tarah Saaf Hoti Hain

Pocha Dard Hijar Ka Koi Ilaj Btaye
Jawab Aya Wasal Ho Ga Isi Tarah Rote Jaye

Mein Ne Kaha Ab Aankhon Ke Sath Dil Bi Rota Hai
Jawab Aya Aashiqon Ke Sath Aksar Yahi Hota Hai

Mein Ne Kaha Raat Ko Aanson Se Takye Bheg Jate Hain
Jawab Aya Chalo Isi Bahane Ham Tumhain Yaad To Aate Hain

Mein Ne Kaha Teri Mohabat Meri Zindagi Bhar Ki Kamayi Hai
Jawab Aya To Mahir E Mubalgha Arayi Hai

Mein Ne Kaha Meri Mushkilat Ka Koi Hal Btaye
Jawab Aya Asghar Khuda Ke Liye Bhol Jaye

Submitted By: m.asghar mirpuri

Tere Dil Mein Is Bhane Aye

tere-dil-mein-urdu-poetry

Ham Tere Dil Mein Is Bahane Aye
Kya Bhana Tha Dil Tum Se Lagane Aye

Tumhain Maloom Ho Na Paya Hamari Aamid Ka Sabab
Apni Khawhish Thi Ke Hosh Thkane Aye

Mudat Se Tashngi Thi Tum Se Baat Karne Ki
Bare Dino Baad Aaj Ye Piyas Ham Bhujane Aye

Raat Ko So Na Sake Din Ko Bechain Rahe
Neend Bhejo Ke Wo Hmain Aa Ke Sulane Aye

Jab Shayari Karte Ho Tu Pyari Karte Ho
Ye Baat Kon Asghar Ko Samjhane Aye

Submitted By: m.asghar mirpuri

Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko

ibn-e-insha-ghazal

Hum Log Tu Zulmat Mein Jene K Bi Aadi Hain
Is Dard Ne Kun Dil Mein Shamein Si Jala Di Hain
Ik Yaad Pey Aahon Ka Tufan Umadta Hoa Aata Hai
Ik Zikar Pey Ab Dil Ko Thama Nahi Jata Hai
Ik Naam Pey Aankhon Mein Aansoo Chale Aate Hain
Ji Ham Ko Jilata Hai Ham Ji Ko Jilaty Hain
Ham Log Tu Mudat Se Awar O Heran They
Us Shakhs Ke Geso Kab Is Tor Preshan They
Ye Shakhs Ae Dil Mgar Pardes Suhare Ga
Ye Dard Hmain Jane Kis Ghat Utare Ga
Ishq Ka Chakar Hai Insha Ke Sitaron Ko
Han Ja Ke Mubarak Do Phir Najad Mein Yaaron Ko

Poet: Ibn e Insha