Najane mujh se kya pocha gaya tha

Najane mujh se kya pocha gaya tha
Magar lab par tera naam aa gaya tha
Muheet ik umar par hai faasla woh
Meri jaan beech jo rakha gaya tha Continue reading “Najane mujh se kya pocha gaya tha”
Hain shair tere shusta

Hain shair tere shusta, lab o lehja haseen hai
Par kya hai ke yeh murda paraston ki zameen hai
Ae sehmi kasak too ne mera sath diya hai
Hamdard meri tu hai, tu hi dil ki maken hai Continue reading “Hain shair tere shusta”
Bura tha ya bhala jaisa bhi tha

Bura tha ya bhala jaisa bhi tha rakha gaya tha
Tumhi keh do hamara naam kya rakha gaya tha
Tum apne aap mein thay barhaman, shudder thay hum hi
Jbhi to beech mein yeh faasla rakha gaya tha Continue reading “Bura tha ya bhala jaisa bhi tha”
Baloch qom ke bachy

Baloch qom ke bachy hoye hain gum aisy
Har ik shakhs yahan haye satpata ke raha
Bacha ke dil ki zameen ko rakha tha main ne rasheed
Ghamon ka abar mery aasman py cha ke raha
Sajata Bhi Mujhy Hai

Naz us ke uthata hoon rulaata bhi mujhe hai
Zulfon mein sulaata bhi, jagaata bhi mujhe hai
Aata hai bohat uss pay mujhe gussa bhi lekin
Pyar uss pay kabhi toot ke aata bhi mujhe hai Continue reading “Sajata Bhi Mujhy Hai”
Hamein jo zabt ka haasil kamaal ho jaye

Hamein jo zabt ka haasil kamaal ho jaye
Hamara ishq bhi jannat-e misaal ho jaye
Suna hai tum ko saleeqa hai zakham bharnay ka
Hamaray ghaao ka bhi indimaal ho jaye Continue reading “Hamein jo zabt ka haasil kamaal ho jaye”
Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zuban

Jaanta koi nahi aaj asolon ki zuban
Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zuban
Mosam gul hai khilay ap ki khushbu ke gulab
Bolan aa ke phir zara jholon ki zuban Continue reading “Kash aa jaye hmain bolna pholon ki zuban”
Banay phirtay hain woh fankar logo

Banay phirtay hain woh fankar logo
Azal se jo rahay makkar, logo
Koi kam zarf dekhlaye haqeeqat
Har ik ja, har ghari har baar logo