Hain shair tere shusta, lab o lehja haseen hai
Par kya hai ke yeh murda paraston ki zameen hai
Ae sehmi kasak too ne mera sath diya hai
Hamdard meri tu hai, tu hi dil ki maken hai
Jo charb zuba us ko pazeerai mili hai
Aur asal jo fankar hai woh gosha nashen hai
Mahsoos kiya us ke rowiye mein tagayur
Tab se hai falak paon mein, aur sir pay zameen hai
Thi khoj mujhe tum sa koi ho ga mayasar
Wallah nahi koi, nahi koi nahi hai
Jiss roz se woh tabay farmaan hoa hai
Lagta hai pari zaad koi zair-e nagin hai
Hasrat hai agar pyaas to bhashn bhi suna kar
Too aur kahin dheyaan tera aur kahin hai