The ghazal
Read it in Urdu script-
Najane mujh se kya pocha gaya tha Magar lab par tera naam aa gaya tha
-
Muheet ik umar par hai faasla woh Meri jaan beech jo rakha gaya tha
-
Suno sar panch ka yeh faisla bhi Woh mujrim hai jisay loota gaya tha
-
Bithaya sir pay logon ne mujhe bhi Libaas fakhira pehna gaya tha
-
Usay rukh yun bdalty dekh kar mein Chupa jo mudda tha pa gaya tha
-
Nahi jana tha mujh ko us nagar ko Kisi ka hukm aaya tha, gaya tha
-
Faqat kuch din guzaray sukh mein mein ne Phir us ke baad baadal chaa gaya tha
-
Nahi woh shakhs to ab jana kaisa Jahan mein muddaton aaya gaya tha
-
Rasheed us ne hi suli par charhaya Jo bacha gham ka ik paala gaya tha
Submitted by Rasheed Hasrat


