Bura tha ya bhala jaisa bhi tha

urdu shayari

Bura tha ya bhala jaisa bhi tha rakha gaya tha
Tumhi keh do hamara naam kya rakha gaya tha

Tum apne aap mein thay barhaman, shudder thay hum hi
Jbhi to beech mein yeh faasla rakha gaya tha

Hamein bachpan mein dozakh aur jannat ki khabar thi
Dayanat thi, ke dil mein khauf sa rakha gaya tha

Nhِin tha faisla haq mein hamaray koi behtar
Magar ik maan tha maa baap ka, rakha gaya tha

Chunain dil ya anaa ke faislay ka paas rakh len
Hamaray samnay ik rasta rakha gaya tha

Andhera tha muqaddar, hum ne daman mein sameta
Ujala aap ka tha ja baja rakha gaya tha

Bichai chaal shatir ne, samajh aayi nah hasrat
Hamein ghar mein hi bachon se juda rakha gaya tha

Poet: Rasheed Hasrat

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments