Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle

Wo Mujh Se Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle
Keh Jin Se Mein Ne Khud Apna Suragh Paya Tha
Wo Mujh Se Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle
Keh Jin Se Mein Ne Khud Apna Suragh Paya Tha
Us Ko Bhi Yaad Karne Ki Fursat Na Thi Mujhe
Masroof Tha Mein Kuch Bhi Na Karne Ke Ba-Wajod
Safar Peche Ki Janab Hai Qadam Aage Hai Mera
Mein Borha Hota Jata Hun Jawan Hone Ki Khatir
Wo Bohat Chalak He Lekin Agar Himat Krein
Pehla Pehla Jhoot Hai Us Ko Yaqeen A Jaye Ga
Tuj Ko Meri Na Muhe Teri Khabar Jaye Gi
Eid Ab Ke Bhi Dabe Paon Guzar Jaye Gi
Mein Kisi Aur Zamane Ke Liye Hun Shayad
Is Zamane Mein Hai Mushkil Mera Zahir Hona
Tiktiki Bandh Ke Mein Dekh Raha Hun Jis Ko
Ye Bhi Ho Sakta Hai Wo Samne Betha Hi Na Ho