Jism tha noor isay hum ne hi pahnai raat Kha gayi din ke ujaloon ko yahan chai raatShab ke daman mein faqat khawab hai mehroomi hai Hum ko mafhom yeh samjhane chali aayi raat
Awam bhook se dekho nidhaal hai ke nahi? Har aik chehray se zahir malaal hai ke nahi?Tamam cheezon ki qeemat barhai jati rahi Ghareeb maarny ki iss mein chaal hai ke nahi?
Bas rahay hain is nagar mein jinn o insaan aik sath Yeh riwayat chal pari hai zulm o ihsaas aik sathAb tawaqqa hum se rakhna kher khawahi ki abas Hum ne saaray toar daaley ehad o paimaan aik sath
Lanat ho hukmraanon ke aisay nizam par Iflaas mantazar hai jahan gaam gaam parHar roz qeematon mein izafah hai be panah Joon tak bhi rengti nahi ibn-e ghulam par
Aik hum thay sir phiray jo jal bujhe logon mein thay Warna jis ko dekhte miyaar ke logon mein thayKon zalim hukmran ki baat ka deta jawab Log jitne thay wahan sab sir katay logon mein thay
Tamam umar ussay mujh se ikhtilaaf raha Raha woh ghar mein mere par mere khilaf rahaKhabar nahi ke tre mann mein chal raha yai kya ? Teri taraf se mera dil hamesha saaf raha
Jo hamaray beech mein tha faasla rehne diya Apni kashti ka purana na khuda rehne diyaLoot ka tha maal aakhir baantna to tha zaroor Hum ne apna le liya bakhra, tera rehne diya
Salamat chahtay ho dil to itni baat mano gey Tumhe lena parre jo faisla woh zahn se lo geyPata kya waqt kaisa khail khailay, hum bhichar jayen Kahan hon ge najane hum, najane tum kahan ho gey
Kya bitayen dostoo duniya ne tora kis tarhan Resha umeed se phir dil ko jora kis tarhanTum ne maazi ko kureda hai to phir itna kaho Zakham ho ga mundamil, jaye ga phora kis tarhan? ?
Woh mera dost mere haal se aagah to ho Na sahi sach mein magar khawab mein hamrah to hoKuch assar unn pay mere aah o faghan ka yaaro Ho nah ho, phir bhi mere lab pay koi aah to ho
Kuch nahi paaya hai hum ne iss bharay sansar mein Phool se daman hai khaali gir chay hain gulzaar meinPِhr mohabbat iss terhan bhi imteha layte rahi Jaib khaali le ke phirtay thay isay bazaar meinHum ne har har bil ke badlay khoo bahaya hai yahan Tab kahin ja kar parre hain paich yeh dastaar mein
Gham ki kis shakal mein tashkeel hui jati hai Aadmiyyat ki bhi tazleel hui jati haiHar qadam zeist chankti hai chanaka ban kar Jiss terhan kanch mein tabdeel hui jati hai
Kab hum ne kaha tum se mohabbat hai, nahi to Dil hijr se amaada wehshat hai, nahi toBaatein to bohat karte hain hum kood uchhal kar Iss ehad mein mazdoor ki izzat hai, nahi to
Dekha hai jo ik mein ne wohi khawab bohat hai Warna to wafa dostoo! Kamyaab bohat haiYeh dil ki zamee banjar o weraan pari thi Thori si hui tujh se jo sairaab bohat hai
Wada karna bhi nahi tujh ko nibhana bhi nahi Sab hai maloom tujhe lout ke aana bhi nahiRehne deta hi nahi to jo dron dil ab Aur mere dil ke siwa koi thikana bhi nahi
Sunaoun ga tumhe ae dost mein fursat se haal apna Maheena chain se guzra, nah din, ghanta nah saal apnaTumahray hijr o hurman se kahoon kya haal kaisa hai Samajh lije ke honay ko hai ab to intqaal apna
Ik shakhs ke jane se badal jati hai duniya Phir aah bhi karlo to machal jati hai duniyaMein pyar ka taalib jo hoa ehley jahan se Zardi si koi chehray pay mil jati hai duniya
Khamosh subahen, udas shaamein, tera pata mujh se poochti hain Batau ab kya ke yeh fizayen palat ke kya mujh se poochti hainUdas chiryen jo din ko danay ki khoj mein theen, hain lout aayi Kahan he shaakh shajar ke jiss par tha ghonsla mujh se poochti hain
Bank mein khata mohabbat ka bhi khola jata Ishq liezer ko har ik lamha tatola jataCheck bharta jo kabhi cash karanay ke liye "Khatah khaali hai" barray pyar se bola jata
Samajhney se nah samjhane se ho ga Moamma hal tre anay se ho gaHatheli par koi jaan le ke aaye Mumkin yeh divanay se ho ga
Showing 40 of 47