Shaam bhi ho jaye gi yeh, dil nashen aaye ga woh Aarzoyeen ho rahi hain jagzin aaye ga wohPehlay bhi wadon se –apne kab kiya hai inhiraf Ab wachan jo day diya to bil-yaqeen aaye ga woh
Bhichar ke tujh se ae sanam jo shaad ho sakay nhِin Hazaar shukar teri aankh ke diye bujhe nahiAnaa ki daud mein sada ko paish paish hmm rahay Yeh apne haath ka likha, gilah naseeb se nahiKisi ke hijar mein mujhe ik aisa moujza hua Khizaa mein rakh rahay thay jo ab aisay silsilay nhِinLikhay hain lafz jo faqat usi ke naam ke likhay Usi ke naam ke hain harf jo abhi likhay nahi
Go par to nahi phir bhi azad nahi karna Na shaad rakho mujh ko tum shaad nahi karnaQad kaath agar do ge, samjhun ga tumhe bona Bona hi rakho mujh ko shamshad nahi karna
Agarchay dushwar tha magar zair kar liya tha Anaa ka rasta sahal samajh kar jo sir liya thaWoh kahkashaon ki had se agay kahin basa he Talabb mein jiss ki zamee pay boseedah ghar liya tha
Sakoon woh le gaya tha sath, ab aaraam kho baithy Yeh kis se par gaya paala ke dil se haath dho baithyPareshaa dhoondtay phirtay hain bachay boorhay baba ko Udhar waqton ke qisson mein hain gum sm yaar do baithy
Dekho to mere dil pay yeh jo chaala hoa hai Iss wastay to pyar ko bhi taalla hoa haiHaan kar do meri jaan agar aaya hai rishta Aur larka bhi to dekha hoa, bhaala hoa hai
Mein hoon zarraa too agar aftaab apne liye Tairay sapnay hain, mere tootay se khawab apne liyeMein ne socha hai kisi roz chaman ko ja kar Chuun ke lau ga koi taaza ghulaab apne liye
Showing 47 of 47