Wada karna bhi nahi tujh ko nibhana bhi nahi
Sab hai maloom tujhe lout ke aana bhi nahi
Rehne deta hi nahi to jo dron dil ab
Aur mere dil ke siwa koi thikana bhi nahi
Kitny jugno thay, mere dost huay gird alood
Ab mujhe deep mohabbat ka jalana bhi nahi
Titliyan lab pay mere kaisi yeh muskaan ki hain
Kholna tujh pay nahi bhaid, chupana bhi nahi
Uss ki chup dil ko magar cheer ke rakh deti hai
Baat karne ka mِre paas bahana bhi nhِin
Mein ne ik umar aesi mein hi laga di yaaro
“ab to yak tarfah mohabbat ka zamana bhi nahi”
Yeh jo mansoob hai ik dard kahani mujh se
Sach to yeh hai ke koi jhoota fasana bhi nahi
Mein ne har baar mohabbat ka bharam rakha hai
Ab ke rootha to tre shehar pِhr aana bhi nshi
Ab kahin aur rasheed apna thikana kar ke
Mujh ko ab dard ko seenay se lagana bhi nahi