Muskarate Hoye Milta Hun

Muskarate Hoye Milta Hun Kisi Se Jo Zafar
Saaf Pehchan Liya Jata Hun Roya Hoya Main
Muskarate Hoye Milta Hun Kisi Se Jo Zafar
Saaf Pehchan Liya Jata Hun Roya Hoya Main
Kabhi Kabhi Tu Chalak Parti Hai Yun Hi Aankhen
Udas Hone Ka Koi Sabab Nahi Hota
Wo Tu Aesa Tha Ke Ik Aansu Girne Ki Bi Waja Pocha Karta Tha
Par Na Jane Kun Ab Usey Barsat Ki Pehchan Nahi Hoti
Khatam Hone Ko Hain Ashkon Ke Zakheray Bhi Jamal
Roye Kab Tak Koi Is Shehr Ki Weraani Par
Wese Tu Ik Aanso Hi Baha Kar Mujhe Le Jaye
Aesay Koi Tufan Hila Bhi Nahi Sakta
Aankhon Tak Na Aa Saki Kabhi Aansuon Ki Lehar
Ye Qaafla Bhi Naqal Makani Mein Kho Gaya
Jab Hoya Zikar Zamane Mein Mohabat Ka Shakeel
Mjuh Ko Apne Dil-E Nakam Pe Rona Aya
Muda Ke Baad Us Ne Jo Ki Lutf Ki Nigah
Ji Khush Tu Ho Gya Magar Aansu Nikal Parey