52 poems · 25 poets
Raat Phir Rang Pe Thi Us Ke Badan Ki Khushbu Dil Ki Dharkan Thi Ke Urte Thay Lahu Mai JugnuJese Har Shay Ho Kisi Khwab-e Faramosh Mai Gum Chand Chamka Na Kisi Yaad Ne Badla Pehlu
Har Ek Jazbat Ko Zuban Nahi Milti Har Ek Aarzu Ko Dua Nahi Milti Muskurahat Banaye Rakho To Duniya Hai Sath Aansoo Ko Tu Ankho Me Bhi Panah Nahi Milti
Aansu Aa Jatay Hain Aankhon Main Per Labon Peh Hansi Lani Parti hai Yeh Mohabbat Bhi kia Cheez hai Jis Sey kertay Ho Usi Say Chupani Parti hey
Aayi Jo Teri Yaad Tanhai me Aankhen Barsti Rahi Judaai me
Ye Ashk Jo Tu Ne Muj Ko Diye Soghat Ki Manind Barste Hain Zakhm Aankhon Se Meri Barsat Ki ManindMai Kese Bhula Dun Tuje Ae Meri Jan Ke Qatil Rehta Hai Khaylon Mai Mere Tu Lamhat Ki Manind
Tumhari Har Ek Baat Bewafai Ki Kahani Hai Lekin Teri Har Saans Meri Zindagi Ki Nishani Hai Tum Aaj Tak Samajh Nahi Sake Mere Pyar Ko Isliye Mere Aansoo Bhi Tere Liye Pani Hai.
Tumhary dukh hum seh nhe skty Bhari mehfil main kuch keh nhe sktyHamary girty hoye aansoo ko bar bar daikh Wo bhi kehty han keh hum ap ky bin reh nhe skty
Kabi Aansu,kabi khushbu,kabi naghma ban kr hamse hr shaam mili hai tera chehra ban krchand nikla hai tere aankh k aansu ki tarhan phool mehke hain tere zulf ka saya ban krmeri jaagi hui raton ko usi ki hai talaash so raha hai tri ankhon main jo sapna bn krdil k kaghaz pr utarta hai jo sheron ki tarhan mere honton pr machalta hai jo naghma ban kr
Mere Ham Sukhn Ka Ye Hukm Tha K Kalam Us Se Me Kam Karon Mere Hont Aise Silay K Phir Meri Chup Ne Us Ko Rula Dia
Ujray Hoye Logon Se Graizan Na Hoa Kar Halat Ki Qabron Ke Ye Katbe Bi Parha Kar Har Waqt Ka Hansna Tuje Barbad Na Kar De Tanhai Ke Lamhon Main Kabi Ro Bi Lia Kar
Khud Ko Sabz Hi Rakha Ansoon Ki Barish Main Warna Hijr Ka Mosam Kis Ku Ras Aata Hai Tu Hawaon Ka Mosam Tuj Ko Kia Khabar Jaanan Gard-e Bad Gumani Se Dil Be Toot Jata Hai
Samandar Main Utarta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain Teri Aankhon Ko Parhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati HainTumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chin Gayi Jab Se Koi Bi Lafz Likhta Hoon Tu Aankhein Bheig Jati Hain
Showing 52 of 52