Khushi O Ghami Mein Jinhain Sada Di

Khushi Ghami Mein Jinhain Sada Di
Yaad Mein Jin Ki Dunya Hi Bhula Di
Ab Roote Raho Gey Tum Sada Aamir
Aaj Unhon Ne Hi Bad-Dua Di
Read our best collection of Khushi Poetry and shayari from popular Urdu poets. Our poetry collection is updated regularly.
Khushi Ghami Mein Jinhain Sada Di
Yaad Mein Jin Ki Dunya Hi Bhula Di
Ab Roote Raho Gey Tum Sada Aamir
Aaj Unhon Ne Hi Bad-Dua Di
Gham Aur Khushi Mein Farq Na Mahsoos Ho Jahan
Mein Dil Ko Us Muqam Pe Lata Chala Gaya
Wo Khushi Tha Umeed Tha Ik Ihsaas Tha
Ba’ad Mein Ye Guman Hoa Bas Pal Do Pal Ka Sath Tha
Rehta Hai Aaj Bi Intizaar Is Aankh Ko Kisi Apne Ka
Wo Ja Ka Aaj Bi Sath Hai Jo Kabi Hamary Pass Tha
Ab Koi Khushi Hai Na Koi Dard Rulane Wala
Ham Ne Apna Liya Har Rang Zamane Wala
Kuch Khushiyan Kuch Aanso De Kar Tal Gaya
Jewan Ka Ik Aur Sunehra Saal Gaya
Us Ne Apni Khushi Ki Khatar Mere Dil Ke Tukre Tukre Kar Diye
Lekin Khud Hi Ro Pra Har Tukre Pe Apna Naam Dekh Kar
Tere Vaade Par Jiye Ham Tu Ye Jaan Jhoot Jana
Keh Khushi Se Mar Na Jate Agar Ietbar Hota
Bulaon Ga Na Milun Ga Na Khat Likhon Ga Tuje
Teri Khushi Ke Liye Khud Ko Ye Saza Dun Ga