Kia janay kia likha tha
Kia janay kia likha tha usay iztarab main
Qasad ki lash ayi hai khat ke jawab main
Read our latest collection of Khat poetry. Our shayari collection of popular urdu and hindi poets is updated regularly.
Kia janay kia likha tha usay iztarab main
Qasad ki lash ayi hai khat ke jawab main
Khushbu Jaisay Log Miley Afsaanay Mein
Aik Purana Khat Khoola Anjanay Mein
Tera Khat Aane Se Dil Ko Mere Aaram Kya Ho Ga
Khuda Jane Keh Is Aaghaz Ka Anjam Kya Ho Ga
Ye Tere Khat Teri Khushbu Ye Tere Khawab o Khayal
Mtay-e Jaan Hai Tere Qol-o Qasam Ki Tarah
Guzishta Sal Inhain Mai Ne Gin Ke Rakha Tha
Kisi Ghareb Ki Jori Hoi Raqam Ki Tarah
Bulaon Ga Na Milun Ga Na Khat Likhon Ga Tuje
Teri Khushi Ke Liye Khud Ko Ye Saza Dun Ga
Pehle Mere Khat Ke Us Ne
Ik Anjane Khof Se Dar Kar
Tukre Tukre Kar Dale
Ab
Ik Haseen Ihsaas Ke Tab’a
Jis Ka Koi Naam Nahi Hai
Pichle Kitne Hi Ghanton Se
Darwaze Ki Aoot Main Chup Kar
Tukre Jor Rahi Hai …. Pagal