Ye Na Thi Hamari Qismat Ke Visaal-E-Yaar Hota
Agar Aur Jete Rehte Yehi Intezaar Hota
Tere Waade Per Jiye Ham Tu Jaan Jhot Jana
Keh Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota
Teri Nazuki Se Jana Ke Bandha Tha Ehad Boda
Kabhi Tu Na Tor Sakta Agar Ustwar Hota
Koi Mere Dil Se Poche Tere Teer Neem Kash Ko
Ye Khalash Kahan Se Hoti Jo Jigar Ke Paar Hota
Ye Kahan Ki Dosti Hai Ke Banay Hai Dost Naseh
Koi Chara Saaz Hota Koi Gham Gusar Hota
Rag Sang Se Tapakta Wo Lahu Ke Phir Na Thamta
Jisay Gham Samajh Rahy Ho Ye Agar Sharar Hota
Kahon Kis Se Mein Keh Kia Hai Shab Gham Buri Bala Hai
Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Aik Bar Hota
Hoye Mar Ke Ham Jo Ruswa Hoye Kun Na Gharaq Darya
Na Kabhi Janaza Uthta Na Kahin Mazaar Hota
Usay Kon Dekh Sakta Ke Yagana Hai Wo Yakta
Jo Doi Ko Boo Bhi Hoti Tu Kahin Do Chaar Hota
Ye Masael Taswuf Ye Tera Biyan Ghalib
Tujhe Ham Wali Samjhte Jo Na Bada Khwar Hota