Main Waqt Pay Ghar Kyun Nahi Jata

Sab Kuch To Hai Kya Dhoondti Rehti Hain Nigehain
Kya Baat Hai Main Waqt Pay Ghar Kyun Nahi Jata
Read the best collection of Ghar poetry from popular Urdu Poets. Enjoy our regularly updated poetry collection.
Sab Kuch To Hai Kya Dhoondti Rehti Hain Nigehain
Kya Baat Hai Main Waqt Pay Ghar Kyun Nahi Jata
Wo Mere Ghar Nahi Aata Mein Uske Ghar Nahi Jata
Magar In Ihtiaton Se Ta’aluq Mar Nahi Jata
Faqat Maal-O Zar Dewaar-O Dar Acha Nahi Lagta
Jahan Bachy Nahi Hote Wo Ghar Acha Nahi Lagta
Ab Tak Na Khabar Thi Mujhe Ujrey Hoye Ghar Ki
Wo Aye Tu Ghar Be Saro Saman Nazar Aya
Abhi Zinda Hai Maa Meri Mujhe Kuch Bhi Nahi Ho Ga
Mein Ghar Se Jab Nikalta Hun Dua Bhi Sath Chalti Hai
Aesay Daray Hoye Hain Zamane Ki Chal Se
Ghar Mein Bhi Paon Rakhte Hain Ham Tu Sambhal Kar
Tera Ghar Aur Mera Jungle Bhegta Hai Sath Sath
Aesi Barsatain Ke Badal Bhegta Hai Sath Sath