Naya Hai Zamana
Chiraghon Ke Badle Makan Jal Rahe Hain
Naya Hai Zamana Nayi Roshni Hai
Yeh Wafa Ki Sakht Rahein, Yeh Tumahray Paon Naazuk
Nah Lo Intiqam Mujh Se Marey Sath Sath Chal Ke
Yeh Kehna Tha Un Se Mohabbat Hai Mujh Ko
Yeh Kehnay Mein Mujh Ko Zamane Lagey Hain
Gham Hai Nah Ab Khushi Hai Nah Umeed Hai Nah Yaas
Sab Se Nijaat Paye Zamane Guzar Gaye
Htaye Thay Jo Raah Se Doston Ki
Woh Pathar Marey Ghar Mein Anay Lagey Hain
Had Se Barhey Jo Ilam Tu Hai Jahal Dosto
Sab Kuch Jo Jante Hai Wo Kuch Nahi Jante
Aesa Nahi Ke Un Se Mohabat Nahi Rahi
Jazbaat Mein Wo Pehli Se Shidat Nahi Rahi