Kahin Aasmaa Nahi Milta

Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahi Milta
Kahin Zameen Kahin Aasmaa Nahi Milta
Enjoy our latest collection of Aasman poetry from popular poets. Read Aasman shayari in both Urdu and Hindi. Our poetry collection is updated regularly.
Kabhi Kisi Ko Mukammal Jahan Nahi Milta
Kahin Zameen Kahin Aasmaa Nahi Milta
Jamal Har Shehr Se Hai Payara Wo Shehr Mujh Ko
Jahan Se Dekha Tha Pehli Bar Aasman Main Ne
Aakhir Dua Krein Bhi Tu Kis Mudaa Ke Sath
Kese Zamin Ke Baat Kahin Aasman Se Ham
Aasman Kuch Bhi Nahi Ab Tere Karne Ke Liye
Main Ne Sab Tyarian Kar Li Hain Marne Ke Liye
Ghabra Ke Aasman Ke Tarf Dekhti Thi Khalaq
Jese Khuda Zameen Peh Mojood Hi Na Tha
Aasman Aur Zameen Ka Tafawat Har Chaand
Ae Sanam Dor Hi Se Chand Ka Sa Mukhra Dikhla
Jinhen Mein Dhondta Tha Aasmano Mein Zameeno Mein
Wo Nikle Mere Zulmat Khana-E Dil Ke Makeeno Mein
Na Tu Zamain Ke Liye Hai Na Aasman Ke Liye
Jahan Hai Tere Liye Tu Nahi Jahan Ke Liye
Nishan-e Rah Dikhate Thay Jo Sitaron Ko
Taras Gye Hain Kisi Mard-e Rah Dan Ke Liye