Jis Duniya Se Tum Darti Thi

teri neendain

Jis Duniya Se Tum Darti Thi, Ussay Batlaye Betha Hon
Jo Bhi Tha Qissa Mohabbat, Sab Sunaye Betha Hon

Pakdae Haath Mein Jaam, Gum Hon Apni Hasti Mein
Aur Inhain Le Kar Naam Kkhuda, Kkhuda Se Dry Betha Hon

Pooch Rahay Hain, Yeh Kya Kaisay, Yeh Sun-hwa Kaisay
Khail Kar Unki Kam Aqli Se Jadu Dikhaye Betha Hon

Ruut Jagay To Farz Hain, Unn Par Jinhen Ishhq Ho
Kamaal Yeh Ke Teri Bhi Neendain Uraye Betha Hon

Mera Rabt Tha Khush Haloon Se, Aur Zabt Ki Thi Baat Kya
Ab Yeh Haal Hai Ke Majnu Sa Khabt Apnya Betha Hon

Tasweer Aayi Zehan Mein Jab Us Janab Ki

Tasweer Aayi Zehan Mein Jab Us Janab Ki
Raton Ko Jaag Jaag Ke Neendain Kharab Ki

Un Name Baaz Aankhon Ki Masti Mein Mast Hon
Mujh Ko Nahi Hai Koi Zaroorat Sharaab Ki

Be Chain Dil Ko Mere Sakun Ae Kis Terhan
Uf Woh Jamal Yaar, Yeh Umrein Shabab Ki

Meri Mohabbaton Ka Nah Un Pay Assar Sun-hwa
Mein Raah Daikhta Raha Unkay Jawab Ki

Yeh Falsafah Hai Meri Mohabbat Ka Doston
Jis Se Bhi Ki Kkhuda Ki Qisam Be Hisaab Ki
Read More […]