2205 poems
Gham Ki Barish Ne Tere Naqsh Ko Dhoya Nahi Tu Ne Muje Kho Dia Main Ne Tuje Khoya Nahi
Bint-e Hawa K Narm Lehje Ne Ibn e Adam Bigar Rakhy Hain
Kab Thehray Ga Dard Ae Dil, Kab Raat Basar Ho Gi Sunte Thay Wo Ayen Gay, Sunte Thay Sehar Ho Gi
Ibtida Wo Thi Ke Jeena Tha Mohabat Mein Mahal Intiha Ye Hai Ke Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya
Bas Panchi Urne ke Qabil Ho Jayen Mangi Hai Itni Si Muhlat Pairon Ne'Pairon' = Trees
Dabo Di Thi Jahan Tufan Ne Kashti Wahan Sab Thay Khuda Kya Na Khuda Kya
Ik Umar Kat Gayi Lekin Bachpana Nahi Jata Ham Diye Jilate Hain Aaj Bhi Teri Aahat Par
Aap Ko Aata Raha Mere Satane Ka Khayal Sulah Se Achi Rahi Muj Ko Larai Aap Se
Kon Preshan Hota Hai Tere Gham Se Faraz Wo Apni Hi Kisi Baat Pe Roya Ho Ga
Milne Aata Hai Roz Gham Mujh Se Us Ne Dekha Hoya Hai Ghar Mera
Wo Shajar Be-Samar Nahi Rehte Jo Kisi Aas Par Nahi Rehte
Chal Rahe Hain Zamane Main Rishwaton Ke Silsaly Tum B Kuch Le De K Muj Se Mohabat Kar Lo
Baton Ap Ko Marne Ke Baad Kya Ho Ga Plao Khayen Gey Ahbab Fatiha Ho Ga
Reat Hi Reat Hai Is Dil Main Musafar Mere Aur Ye Sehra Tera Nakash-e Kafe Pa Chahta Hai
Main Takye Par Sitare Bo Raha Hun Janam Din Hai Akela Ro Raha Hun
Apne He Samne Dewaar Bna Betha Hun Hai Ye Anjam Usay Raaste Se Hata Dene Ka
Jaan Ki Bheek Mangne Ki Liye Bi Kabi Hath Ham Ne Phelia Hi Nahi Anjum Muj Ko Mere Waa’z Ne Sisak Kar Jena Sikhaya Hi Nahi
Jhoot Key Age Piche Darya Chaltay Hain Sach Bola Tu Payasa Mara Jaye Ga
Khwahishen Ghar Se Bahar Dor Jaane Ki Bohat Shoq Lekin Dil Mein Wapis Lot Aane Ka Tha
Kash Us Ke Ru-Ba-Ru Na Krein Muj Ko Hashar Mein Kitne Mere Sawal Hain Jin Ka Nahi Jawab
Showing 1528 of 2193