The poem
Read it in Urdu script-
Kabi Aansu,kabi khushbu,kabi naghma ban kr hamse hr shaam mili hai tera chehra ban kr
-
chand nikla hai tere aankh k aansu ki tarhan phool mehke hain tere zulf ka saya ban kr
-
meri jaagi hui raton ko usi ki hai talaash so raha hai tri ankhon main jo sapna bn kr
-
dil k kaghaz pr utarta hai jo sheron ki tarhan mere honton pr machalta hai jo naghma ban kr
-
mera kya haal hai kbi aa kr tu dekh to le jee raha hun tera bhoola hua wada ban kr
-
din k ujaley main b nai bujti tere chehre ki chamak ruh main pheel gya hai jo ujala ban kr
-
dhup main khoo gya hai hath chura kr wo ajnabi ghar se sath chala tha jo mera saya ban kr
-
kbi ansoo,kbi khusbu,kbi naghma ban kr hmse hr shaam mili hai tera chehra ban kr