Shehr Tera Chor Jayen Ham – Habib Jalib Ghazal

habib-jalib-ghazal

Ye Aur Baat Teri Gali Main Na Ayen Ham
Lekin Ye Kia K Shehr Tera Chor Jayen Ham

Mudat Hoyi Hai Koye Butan Ki Tarf Gaye
Awargi Se Dil Ku Kahan Tak Bachyen Ham

Shayad Baqed-e Zeesat Ye Sa’at Na Aa Sake
Tum Dastan-e Shoq Suno Aur Sunain Ham

Be Noor Ho Chuki Hai Bahut Shehr Ki Faza
Tareek Raston Main Kahin Kho Na Jayen Ham

Us Ke Baghair Aaj Bahut Ji Udas Hai
Jalib Chalo Kahin Se Usay Dhond Layen Ham