Lot Ayo

bewafa-poetry

Yun tu har ki galti ko suljha tu ne
phir kyun na meri galti ko bhulaya tu ne
mai tu anjan tha is rah se bilkul
phir kyun is par chalne ko uksaya tu ne
ishq na tha tu gham na tha zindagi mai
gham kis ko kehte hai batlaya tu ne
ashkon se yehi ahh nikalti hai ab tu Aasim
lot ayo k buhat hai sataya tune

Submitted By: Raheel MUbarik

Akhri Sham

Is Se Pehle Ke Saal Ki Akhri Sham Tmam Ho
Aur Tu Bi Masrof-e No Ayam Ho
Is Se Pehle K Mai Zeesat Girwi Rakh Don
Kisi Aur K Pass
Is Se Pehle K Tere Hathon Ka Lams
Tere Labo Ki Mesihai Aur Tere Lehje Ki Pzerai
Har Don Khain Aur
Mana Dost K Hijr Tu Ab Muqadar Thehra
Mgr Is Se Pehle K Ham Bichar Jayen
Hmari Rahain Mukhalif Simat Mai Mur Jayen
Ik Bar Yun Aankhon Mai Aankhain Dalo Ke Waqt Tham Jaye
Aur Tumhara Aks Hamesha Ke Liye Putli Mai Jam Jaye
Aao Waqt Ke Daman Se Mohabat Ke Chand Lamhe Chura Kar
Khain Chupa Lain
Sehrae Zeesat Mai Jab Bi Bgole Uthain
Phir In Amr Lamho Ki Chadar Aorh Kar Ham
Halat Ke Rait Se Apni Aankhain Chupa Lain

Jiya Na Jaye

jia-dharkay11

Jiya Dharke Par Jiya Na Jaye
Alzam Mohabat Ko Diya Na Jaye
Kaam Bhole Sajde Qaza Hoye
Pyar Kar K Kuch Kiya Na Jaye
Tera Khayal Be Khayal Kar De
Koi Zakhm Bi Sia Na Jaye
Udasi K Sbab Kese Btayen
Tera Naam Bi Liya Na Jaye
Tab Wasal Ki Layi Na Jaye
Zehr Firaq Piya Na Jaye
Wo Jene Nahi Deta Muje
Anjum Jis Bin Jiya Na Jaye

Submitted By: Anjum Aziz Abbas

Dmakti Pankhrion Wala Gulab

munir-niazi-poetry

Kis Hasen Khamosh Gulshin Mai Khla Hai Meri Chahat Ka Dmakti Pankhrion Wala Gulab
Kon Se Jadu Bhray Kochy Mai Behti Hai Un Aankho Ki Khumar Aagi Shrab
Kab Fseel-e Shab Ke Ik Poshida Darwaze Se Jhanke Ga Wo Chamkela Sarab
Bol Ae Bad-e Shbana Ke Nirale Naqsh Diklate Hoye Gonge Rubab