The poem
Read it in Urdu script-
Is Se Pehle Ke Saal Ki Akhri Sham Tmam Ho Aur Tu Bi Masrof-e No Ayam Ho
-
Is Se Pehle K Mai Zeesat Girwi Rakh Don Kisi Aur K Pass
-
Is Se Pehle K Tere Hathon Ka Lams Tere Labo Ki Mesihai Aur Tere Lehje Ki Pzerai
-
Har Don Khain Aur Mana Dost K Hijr Tu Ab Muqadar Thehra
-
Mgr Is Se Pehle K Ham Bichar Jayen Hmari Rahain Mukhalif Simat Mai Mur Jayen
-
Ik Bar Yun Aankhon Mai Aankhain Dalo Ke Waqt Tham Jaye Aur Tumhara Aks Hamesha Ke Liye Putli Mai Jam Jaye
-
Aao Waqt Ke Daman Se Mohabat Ke Chand Lamhe Chura Kar Khain Chupa Lain
-
Sehrae Zeesat Mai Jab Bi Bgole Uthain Phir In Amr Lamho Ki Chadar Aorh Kar Ham
-
Halat Ke Rait Se Apni Aankhain Chupa Lain


