Husn o doulat hain aarzi aakhir

Husn o doulat hain aarzi aakhir
Khaak honi hai dilkashi aakhir
Naam, mansab, urooj, shohrat bhi
Sab yeh hotay hain mousmi aakhir
Kyun ranjida ho unkay jane par
Panchhi hotay hain hijarti aakhir Continue reading “Husn o doulat hain aarzi aakhir”
Hain sardian palatnay ko

Hain sardian palatnay ko
Ab tum bhi palatnay ka socho
Tanha guzray kitney mausam
Tum lautay nah mere hamdam
Jin par hmm sang sang chaltay thay
Woh rahein adhuri hain janan
Walehana liptaine ko tum se. . . Continue reading “Hain sardian palatnay ko”
Aap hi ki zaat hai aaqa – Naat

Khuda ke baad bartar, aap hi ki zaat hai aaqa
Mein kya likhon, nah likhnay ki, meri auqaat hai aaqa
Duroood aap par beju, to sab bigra sanwarta hai
Aap hi ki nisbat se banay har baat hai aaqa Continue reading “Aap hi ki zaat hai aaqa – Naat”
Ajab baatein khatakti hain, mujhe be chain rakhti hain

Ajab baatein khatakti hain, mujhe be chain rakhti hain
Meri sansen atakti hain, mujhe be chain rakhti hain
Mohabbat mar chuki lekin, dil o dimagh mein ab tak
Teri yaadain bhatkati hain, mujhe be chain rakhti hain Continue reading “Ajab baatein khatakti hain, mujhe be chain rakhti hain”
Haq da naara vajna haq ae

Haq da naara vajna haq ae
Zalim agay gajnaa haq ae
Chup jay sadhi jabir agay
Teer tenu v vajna haq ae Continue reading “Haq da naara vajna haq ae”
Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi

Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi
Bana kar day zara ik jaam saqi
Pila woh jaam jo madhosh kar day
Miley dil ko bhi kuch aaraam saqi Continue reading “Lagi dhalnay hai phir se shaam saqi”
Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu

Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu
Sada rehtay hain tairay hijar se mansoob yeh aansu
Mey se bhi kahin barh kar, mujhe makhmoor rakhtay hain
Pasandeeda hai un dinon mera mashroob yeh aansu Continue reading “Yuhin to nahi mujhko hain mehboob yeh aansu”
Sabhi aizaz chotey hain

Sabhi aizaz chotey hain tairay ahsaan ke agay
Bhala yeh qoum tairay haq mein kya aizaz rakhay gi
Salam ae mere quaid, Teri himmat o jurrat ko
Mere mohsin teri khidmat tujhe mumtaz rakhay gi