Khuda ke baad bartar, aap hi ki zaat hai aaqa
Mein kya likhon, nah likhnay ki, meri auqaat hai aaqa
Duroood aap par beju, to sab bigra sanwarta hai
Aap hi ki nisbat se banay har baat hai aaqa
Takhleeq jahan jo hai, yeh sab hai aap ki khatir
Aap ke naam ka sadqa, yeh kayenaat hai aaqa
Ho nazro karam aaqa, mein daikhon gunbad khizry
Mujh be-bas ke bas ki kahan yeh baat hai aaqa
Meri har saans mein shaamil, hai zikar e mustafa karna
Yahi tauseef mahshar mein, meri nijaat hai aaqa
Yahi hasrat hai haawi ki, shafaat mein rahon shaamil
Qubool aap farma len, jo meri naat hai aaqa