Jitni bhi zamane – Teachers Day Urdu Poetry

Jitni bhi zamane se mujhy daad mili hai
Mera imaan hai k sab baa-es ustaad mili hai
Suna hai usakee chokhat par

Suna hai usakee chokhat par, jalay chairag mlitay hain
Abhi bhi muntazir hai woh, yahi surag mlitay hain
Faaslay hon ya faislay hon, unhen juda nahi karte
Jinke mukhlis mohabbat mein, dil o dimagh mlitay hain Continue reading “Suna hai usakee chokhat par”
Teri zaat ki tanseeb lazim hai

Mere paiker mein teri zaat ki tanseeb lazim hai
Bohat bikhra howa hon mein, aur ab tarteeb lazim hai
Ajab waadi hai wehshat ki, atti hai dhool nafrat ki
Ghar ko ghar bananay ko, nai tarkeeb lazim hai Continue reading “Teri zaat ki tanseeb lazim hai”
Kabhi tum sochna mat yeh
Mohabbat mein dagha dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Tumhen ik dِn bُhla dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Meri jitni mohabbat hai, sabhi teri amanat hai
Mein chahat yeh ghata dun ga, kabhi tum sochna mat yeh
Mohabbat se tumhen mil ke, kisi mourat ko mein dil ke
Mandir mein saja dun ga, kabhi tum sochna mat yeh Continue reading “Kabhi tum sochna mat yeh”