Hain sardian palatnay ko

sardian-urdu

Hain sardian palatnay ko
Ab tum bhi palatnay ka socho
Tanha guzray kitney mausam
Tum lautay nah mere hamdam
Jin par hmm sang sang chaltay thay
Woh rahein adhuri hain janan
Walehana liptaine ko tum se. . .
Meri baahein adhuri hain janan
Meri ankhen rasta taktee hain
Ab pathar bhi ho sakti hain
Ab itna mujhe satao nah
Tum jaldi lout ke aao na
Hain sardian palatnay ko
Ab tum bhi palatnay ka socho
(Tariq Iqbal Haavi)

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments