Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab

Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab
Hussain tar hai magar har gul-e khayaal tra
Hum aik dard ke rishte mein munsalik dono
Tujhay aziz mra fun, mujhe jamal tra Continue reading “Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab”
Yahan mazdoor ko marne ki jaldi

Yahan mazdoor ko marne ki jaldi kuch yun bhi hai mohsin
Keh zindagi ki kashmakash main kafan mehnga na ho jaye
Woh to khusboo hai, hawaon mein bikhar jaye ga

Woh to khusboo hai, hawaon mein bikhar jaye ga
Masla phool ka hai, phool kidhar jaye ga
Hum to samjhay they ke ik zakham hai, bhar jaye ga
Kya khabar thi ke rag e jaan mein utar jaye ga Continue reading “Woh to khusboo hai, hawaon mein bikhar jaye ga”
Dekha kitab e ishq ke

Dekha kitab e ishq ke awraaq khol kar
Awal bhi tera naam tha, aakhir bhi tera naam
Magar bachpan nahi hota

Aflaas ki basti main jaa kar tu dekho
Wahan bachy to hoty hain magar bachpan nahi hota
Gharonday banana, bana ke mitana

Kabhi rait ke onchay teelon pay jana
Gharonday banana, bana ke mitana
Woh masoom chahat ki tasweer apni
Woh khowaboon khilonon ki jageer apni
Nah duniya ka gham tha nah rishton ke bandhan
Barri khoob soorat thi woh zindagani
Dil ka dil se taruf na ho saka

Ab tak to dil ka dil se taruf na ho saka
Mana ke us se milna milana bohat hoa
Kia kia na ham kharab hoye hain magar ye dil
Aey yaad-e yaar tera thekana bohat hoa
Har december isi wehshat main

Har december isi wehshat main guzaara ka kahin
Phir se aankhon main tere khawab na aanay lag jayen