Woh to khusboo hai, hawaon mein bikhar jaye ga

parveen shakir ghazal

Woh to khusboo hai, hawaon mein bikhar jaye ga
Masla phool ka hai, phool kidhar jaye ga

Hum to samjhay they ke ik zakham hai, bhar jaye ga
Kya khabar thi ke rag e jaan mein utar jaye ga

Woh hawaon ki terhan khanah bajan phirta hai
Aik jhaunka hai jo aeye ga, guzar jaye ga

Woh jab aeye ga to phir us ki rafaqat ke liye
Mosam e gul maray aangan mein thehr jaye ga

Aakharish woh bhi kahin rait pay baithi ho gi
Tera yeh pyar bhi darya hai, utar jaye ga

Mujh ko tahazeeb ke barzakh ka banaya waris
Jurm yeh bhi maray ajdaad ke sir jaye ga

Subscribe
Notify of
guest
0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments