Skip to content
SadPoetry
EN
Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab — Ahmad Faraz

Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab

Ahmad Faraz 4 couplets
  1. Bohat haseen sahi teri aqidaton ke ghulaab Hussain tar hai magar har gul-e khayaal tra Hum aik dard ke rishte mein munsalik dono Tujhay aziz mra fun, mujhe jamal tra

  2. Magar tujhay nahi maloom qurbaton ke alum Tere nigah mujhe fasloon se chahti hai Tujhay khabar nahi shayad ke khalwaton mein meri Lahoo aglti hui zindagi krahti hai

  3. Tujhay khabar nahi shayad ke hum wahan hain jahan Yeh fun nahi aziat hai zindagi bhar ki Yahan gloye junoo par kamand padtee hai Yahan qalam ki zuba par hai noke khanjar ki

  4. Hum is qabeela wehshi ke daiwata hain ke jo Pujarion ki aqeedat pay phool jatay hain Aur aik raat ke mabood subah hoty hi Wafa parast saleebon pey jhool jatay hain

Submitted by iqbal designs

Report a mistake

More by Ahmad Faraz

All poems