Bas itna yaad hai

Dua to janay kon si thi
Zehan main nahi
Bas itna yaad hai
Ke do hathelian mili hoyi thi
Jin main aik meri thi or aik tumhari
Aaj wo parh liya

Aaj wo parh liya gya jis ko parha na jaa saka
Aaj ksi kitab main kuch bhi likha hoa nahi
Meri tareef karay ya

Meri tareef karay ya mujhy badnaam karay
Jis ne jo baat bhi karni hai sar-e aam karay
Yeh theek hai ke bohat wahishten bhi theek nahi

Yeh theek hai ke bohat wahishten bhi theek nahi
Magar hamari zara aadaten bhi theek nahi
Agar milo to khulay dil ke sath hum se milo
Ke rasmi rasmi si yeh chahtein bhi theek nahi Continue reading “Yeh theek hai ke bohat wahishten bhi theek nahi”
Faqeeron se bhi krta hon tijarat

Main faqeeron se bhi krta hon tijarat aksar
Jo aik pese main lakhon ki dua dete hain
Dast-e dua daraz rakho

Na janay kab koi aashob tum ko aa geray
Ajeeb waqt hai dast-e dua daraz rakho
Ab jo rishton main bandha hon

Ab jo rishton main bandha hon to khula hai mujh par
Kab parind ur nahi patay paron ke hotay