Kisi Ki Qabar Ke Andar

Tumhara Dabdaba Logo Yahan Sirf Zindagi Tak Hai
Kisi Ki Qabar Ke Andar Zameendari Nahi Chalti
Aaya Hai Khilone Wala

Aaj Phir Maan Mujhy Maray Gi Bohat Ronay Par
Aaj Phir Gaon Main Aaya Hai Khilone Wala
Khamosh Raaton Main Jo

Khamosh Raaton Main Jo Dharkenain Bakheri Thi
Main Un Ko Lari Main Pro Ke Laya Hun
Tu Un Ko Sirf Uchati Hoyi Nazar Se Na Dekh
Keh Main Sitaron Se Lar Kar Zameen Pe Aya Hun
Bachpan Ki Wo Ameeri

Bachpan Ki Wo Ameeri Na Janay Kahan Chali Gayi
Jab Paani Main Hamare Bhi Jahaaz Chala Kartay Thay
Barsaat Main Kaghaz Ki Tarah

Rehny Do Ab Ke Tum Bhi Mujhy Parh Na Sako Gey
Barsaat Main Kaghaz Ki Tarah Bheg Gaya Hon Main
Is Gali Se Kabhi Mujhy Maan Ne

Is Gali Se Kabhi Mujhy Maan Ne Guzara Na Tha
Lagta Tha Jese Bazaar Ye Khilono Ka Tha
Ya Rab Meri Maa Ko La Zawaal Rakhna

Ya Rab Meri Maa Ko La Zawaal Rakhna
Mein Rahon Nah Rahon Meri Maa Ka Khayaal Rakhna
Meri Khusihyan Bhi Le Lo Meri Sansen Bhi Le Lo
Magar Meri Maa Ke Gird Sada Khoshion Ka Jaal Rakhna
Maaen Sukh Ki Chaon – Mother Poetry

Maaen Sukh Ki Chaon Jaisi Hoti Hain
Dukh Mein Sard Hawaon Jaisi Hoti Hain
Day Kar Apni Khusihyan Dukh Sah Layte Hain
Yeh Maqbool Duaon Jaisi Hoti Hain Continue reading “Maaen Sukh Ki Chaon – Mother Poetry”