Dil To Wo Barg-e Khazan Hai

Dil To Wo Barg-e Khazan Hai K Hawa Le Jaye
Gham Wo Aandhi Hai Ke Sehra Bi Ura Le Jaye
Kon Laya Teri Mehfil Mein Hamain Hosh Nahi
Koi Aye Teri Mehfil Se Utha Le Jaye
Read More […]
Dil To Wo Barg-e Khazan Hai K Hawa Le Jaye
Gham Wo Aandhi Hai Ke Sehra Bi Ura Le Jaye
Kon Laya Teri Mehfil Mein Hamain Hosh Nahi
Koi Aye Teri Mehfil Se Utha Le Jaye
Read More […]
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua
Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq
Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda
Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua
Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabat Ko Vaar Dain
Is Ashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua
Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka
Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Hua
Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil
Ai Yaad-e-yaar Teraa Thikaana Bohat Hua
Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo
Phir Kyaa Thaa Ek Huu Kaa Bahaana Bahut Hua
Lo Phir Tire Labon Pe Usii Bewafa Ka Zikr
Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kahaa Na Bohat Hua
Submitted By: Rekhta
Meri palkon ka ab neend sy koi wasta nai faraz
Mera kon hai is duniya main, isi soch main raat guzr jati hai
Submitted By: ALI RAJ
Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dhekte Hain
So Us Ke Shehr Mai Kuch Din Thehr K Dekhte Hain
Suna Hai Din Ko Usay Tatlian Stati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr K Dekhte Hain
Suna Hai Us Ki Syah Chashmgi Qayamat Hai
So Us Ko Surma Farosh Ah Bhar K Dekhte Hain
Read More […]
Pyar or Mohabat Us Door Ki Baat Hai Faraz
Jab Makan Kachay Or Log Sachy Hoa Karte Thay
Wo Zindagi Ho Ke Dunya Faraz Kia Ki jiye
Keh Jis Se Ishq Kro Bewafa Nikalti Hai
Mujhse Har Bar Wo Nazren Chura Leta Hai Faraz
Mane Kagaz Pe Bhi Bana Ke Dekhi Hain Ankhen Usk
Main Shab Ka Bi Mujrim Hoon Sehr Ka Bi Hoon Mujrim
Yaroo Muje Is Shehr Ke Aadab Sikha Do