The ghazal
Read it in Urdu script-
Us Ko Juda Hoye Bhi Zamana Bohat Hua Ab Kyaa Kahen Ye Qissa Purana Bohat Hua
-
Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-e-firaq Ai Marg-e-na-gahan Tera Aana Bohat Hua
-
Ham Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda Itne Se Vaqiye Ka Fasana Bohat Hua
-
Ab Ham Hain Aur Sare Zamane Ki Dushmani Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bohat Hua
-
Ab Kyun Na Zindagi Pe Mohabat Ko Vaar Dain Is Ashiqi Mein Jaan Se Jana Bohat Hua
-
Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aaruf Na Ho Saka Mana Ki Us Se Milna Milana Bohat Hua
-
Kya Kya Na Ham Kharaab Hoye Hain Magar Ye Dil Ai Yaad-e-yaar Teraa Thikaana Bohat Hua
-
Kahta Tha Naasehon Se Mere Munh Na Aaiyo Phir Kyaa Thaa Ek Huu Kaa Bahaana Bahut Hua
-
Lo Phir Tire Labon Pe Usii Bewafa Ka Zikr Ahmad ‘faraz’ Tujh Se Kahaa Na Bohat Hua
Submitted by Rekhta



