Kitabon Ki Tarah

Kitabon Ki Tarah Hai Wo Bhi
Alfaz Se Bharpur Magar Khamosh
Aadat Hi Bna Li Hai Tum Ne Tu Munir Apni
Jis Shehr Mein Rehna Uktaye Hoye Rehna
Ab Tere Zikar Pe Ham Baat Badal Dete Hain
Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle
Wo Raatain Chand Ke Sath Gayen Wo Batain Chand Ke Sath Gayen
Ab Sukh Ke Sapne Kya Dekhein Jab Dukh Ka Suraj Sar Par Ho
Khayal Jis Ka Tha Muje Khayal Mein Mila Muje
Sawal Ka Jawab Bhi Sawal Mein Mila Muje
Mein Pa Na Saka Kabi Is Khalsh Se Chutkara
Wo Muj Se Jeet Bi Sakta Tha Jane Kun Hara
Baras Ke Khul Gaye Aansu Nithar Gayi Hai Faza
Chamak Raha Hai Sar-e Sham Dard Ka Tara
Read More […]
Wo Shehr Mein Tha Tu Us Ke Liye Auron Se Bhi Milna Parta Tha
Ab Aese Wese Logo Ke Mein Naaz Uthaon Kis Ke Liye
Raat Tu Waqt Ki Paband Hai Dhal Jaye Gi
Dekhna Ye Hai Chiraghon Ka Safar Kitna Hai