Idhar bhi to kar nigah

Auron ki taraf to daikhta hai
Idhar bhi to kar nigah zalim
Talluq Kirchiyun Ki Shakal Mein Bikhra To Hai Phir Bhi
Shakista Aaiinon Ko Jor Dena Chahtay Hain Ham
Mein sach kahoon gi magar phir bhi haar jaoon gi
Woh jhoot bolay ga aur laa jawab kar day ga
Kharch itna bhi nah kar mujh ko zamane ke liye
Kuch to reh jaoon mein kaam apny bhi anay ke liye
Har ghari khud se ulajhna hai muqaddar mera
Mein hi kashti hon mujhi mein hai samandar mera
Ain mumkin tha ke mein teray kye par sabr hi kar jata
Magar afsos! Ke meri talkhiyan bhi na guzeer thehreeren
Aawaz day ke dekh lo shayad woh mil hi jaye
Warna yeh umar bhar ka safar raaygan to hai
Dunya to chahti hai yunhi faaslay rahen
Dunya ke mashwaron pay nah ja us gali mein chal