853 poems
Khilonon ki dukanon ki taraf se aap kyun guzray Yeh bachay ki tamanna hai yeh samjhota nahi karti
Na gharz kisi se na wasta, mujhe kam apne hi kam se Tere zikar se teri fikar se teri yaad se teri naam se
Kon janay ke naye saal main tu kis ko parhay Tera mayar badalta hain nisabon ki tarah
Tumhe bhi neend si anay lagi hai thak gaye hum bhi Chalo hum aaj yeh qissa adhoora chore dete hain
Tri nigah sahara nah day to baat hai aur Ke girtay girtay bhi duniya sambhal to sakti hai
Har dharaktey pathar ko log dil samajte hain Umrein beet jati hai dil ko dil bananay mein
Saza Deni Ham Ko Bi Aati Hai O Be Khabar Par Tu Takleef Se Guzre Ye Ham Ko Gwara Nahi
Patoon Ki Tarah Mujhe Bakherta Tha Zamana Ik Shakhs Ne Mujhe Yakja Kia Aur Aag Lga Di
Kuch to hawa bhi sard thi kuch tha tera khayal bhi dil ko khushi ke sath sath hota raha malal bhi
Aa dekh ke mere aansu-on mein Yeh kis ka jamal aa gaya hai
Yaad aya tha bicharna tera Phir nahi yaad ke kia yaad aya
Akele Ham Hi Shamil Nahi Is Jurm Mein Nazren Jab Bhi Mili Thi Muskurae Tum Bhi Thay
Har aik baat ko chup chaap kyun suna jaye Kabhi to hosla kar ke nahi kaha jaye
Ya wo thay khafa ham se ya ham hain khafa un se Kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Yeh arzoo thi tujhe gul ke rubaroo karte Hum aur bulbul be taab guftagu karte
Baton mein lagaye hi mujhe rakhta hai zalim Waday wohi jhotay hain wohi shaam o sehar roz
Qarab acha hai magar itni bhi shidat se na mil Ye no ho tujh ko mery rog puranay lag jayen
Musalsal hadson se bas mujhe itnis shakyat hai Keh ye aanso bahane ki bhi muhlat nahi dete
Us ko rukhsat to kya tha mujhe maloom nah tha Sara ghar le gaya ghar chore ke jane wala
Sirf hathon ko nah dekho kabhi ankhen bhi parho Kuch sawali barray khuddar huwa karte hain
Showing 80 of 853