853 poems
Mujhe de rahe hain taslliyan wo har aik taza pegham se Kabi aa ke manzir-e aam par kabi hat ke manzir-e aam se
Iraday bandhata hon sochta hon toar deta hon Kahin aisa nah ho jaye kahin aisa nah ho jaye
Honton pay kabhi un ke mra naam hi aaye Aaye to sahi bar sir ilzaam hi aaye
Jawab ham nahi sunty, bata ye aey qasad Hoa qabol hamara salam bhi ke nahi
Shak apni hi zaat pay honay lagta hai Apni baatein doosron se jab suntay hain
Raat ko raat hi is baar kaha hai hum ne Hum ne is baar bhi tauheen e adalat nahi ki
Aao ik sajda krein aalm-e madhoshi mein Log kehtey hai ke saghar ko khuda yaad nahi
Yahan kisi ko koi rasta nahi deta Mujhe gira ke agar tum sambhal sako to chalo
Hum nahi thay to kya kami thi yahan Hum nah hon ge to kya kami hogi
Aankhon mein nami si hai chup chup se bethay hain Nazuk si nigahon mein nazuk sa fasana hai
Mout ka bhi ilaaj ho shayad Zindagi ka koi ilaaj nahi
Sir jhukao gey to pathar daiwata ho jaye ga Itna mat chaho usay woh bewafa ho jaye ga
Haath kaanton se kar liye zakhmi Phool balon mein ik sajanay ko
Chorney mein nahi jata usay darwazay tak Lout aata hon ke ab kon usay jata dekhe
Mohabbaton Mein Dikhavay Ki Dosti Nah Mila Agar Gilaay Nahi Milta To Haath Bhi Nah Mila
Sochty hain ke kisi aur ko mamoor krein Tum se pholon ki hifazat nahi ki jati
Ab woh bohat sukoon se sota ho ga Boojh raabtey ka jab se utaara ho ga
Bahar waba ka khauf hai, ghar mein balaa ki bhook Kis mout se maroon mein zara raye dijiye
Yeh kinaroon se khailnay walay Doob jayen to kya tamasha ho
Hum to chahat mein bhi ghalib ke muqallad hain faraz Jis pay martay hain ussay maar ke rakh dete hain
Showing 120 of 853