Guzrta Nahi Aik December Akele

Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam
Sulagta Rha Dil K Andar Akele
Irada Tha Ji Lo Ga Tuj Se Bichar Kar
Guzrta Nahi Aik December Akele
Read our latest collection of mosam poetry from popular urdu and hindi poets. Our mausam poetry images collection is updated regularly.
Teri Yaad Ki Barf Bari Ka Mosam
Sulagta Rha Dil K Andar Akele
Irada Tha Ji Lo Ga Tuj Se Bichar Kar
Guzrta Nahi Aik December Akele
Ye Rim Jhim, Ye Barish, Ye Aawargi Ka Mosam
Hamare Bas Mein Hota Tere Pass Chale Aate
Na koi gham khazan ka hai na hai khwahish baharon ki
Hamary sath hai amjad kisi ki yad ka mosam
Mosam, Kushbu, Bad e Saba, Chaand, Shafaq Aur Taaron Mein
Kon Tumhare Jesa Hai Waqt Mila Tu Sochen Gey
Hazaar Tarah Ke Thy Ranj Pichly Mosam Mein
Par Itna Tha Ke Koi Sath Rone Wala Tha
Tabdeli Jab Bi Aati Hai Mosam Ki Adaon Mein
Kasi Ka Yun Badal Jana Bohat Hi Yaad Aata Hai
Ye Aankh Jab Zara Nam Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Muje Lahaq Tera Gham Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Udasi Jam Si Jati Hai Kisi Barf Ki Manind
Khayalon Main Agar Tum Ho Aur Barish Ka Mosam Ho
Dor Tak Chaye Thay Badal Aur Kahen Saya Na Tha
Is Tarah Barsat Ka Mosam Kabhi Aya Na Tha