December Ki Dhop Mai

december-poetry

Kisi Ko Dekhon Tu Mathe Pe Mah-o Sal Milain

Khain Bikharti Hui Dhol Mai Sawal Milain

Aao Kuch Dair December Ki Dhop Mai Bethain

Ye Furstain Hmain Shayad Na Aglay Sal Mlain

Palkain Utha Kar

urdu-ghazal

Palkain Utha Kar Palkain Jukaya Na Kro
Baat Ko Yunhi Tum Uljaya Na Kro
Zakhm Badal Jate Hain Nasoor Ki Soorat
Dard Zara Sa Bi Ho Chupaya Na Kro
Ulja Dain Gi Dast Shinason Ki Batain
Tum Apna Hath Kisi Ko Dikhya Na Kro
Kuch Roz Tu Yaad Rakho Ehsan Kisi Ka
Itni Jaldi Kisi Ko Bhol Jaya Na Kro
Charhe Darya Khud Utar Jate Hain Anjum
Zara Si Tughiani Dekh Kar Ghabria Na Kro

Submitted By: Anjum Aziz Abbas

Lagta Nahi Hai Dil Mra Ujrey Deyaar Mein

Lagta Nahi Hai Dil Mra Ujrey Deyaar Mein
Kis Ki Bani Hai Aalam Napaidaar Mein

Keh Do Un Hasarton Se Kahin Aur Ja Baseen
Itni Jagah Kahan Hai Dil Daghdar Mein

Kaanton Ko Mat Nikaal Chaman Se O Baghban
Yeh Bhi Gulon Ke Sath Pallay Hain Bahhar Mein

Bulbul Ko Baghban Se Nah Sayyad Se Gilah
Qismat Mein Qaid Likhi Thi Fasal Bahhar Mein

Kitna Hai Bad Naseeb Zafar Dafan Ke Liye
Do Gaz Zameen Bhi Nah Mili Koye Yaar Mein