The poem
Read it in Urdu script-
Lagta Nahi Hai Dil Mra Ujrey Deyaar Mein Kis Ki Bani Hai Aalam Napaidaar Mein
-
Keh Do Un Hasarton Se Kahin Aur Ja Baseen Itni Jagah Kahan Hai Dil Daghdar Mein
-
Kaanton Ko Mat Nikaal Chaman Se O Baghban Yeh Bhi Gulon Ke Sath Pallay Hain Bahhar Mein
-
Bulbul Ko Baghban Se Nah Sayyad Se Gilah Qismat Mein Qaid Likhi Thi Fasal Bahhar Mein
-
Kitna Hai Bad Naseeb Zafar Dafan Ke Liye Do Gaz Zameen Bhi Nah Mili Koye Yaar Mein


