Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen

Hui Jis Sabab Ham Se Tum Se Judai,
Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen
Bayan Ye To Kar De Gi Sari Khudai,
Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen

Ye Mashor Hai Dil Se Hai Rah Dil Ko,
Kya Krta Hai Dil Hi Agah Dil Ko
Wo Dil Hi Se Pocho Jo Hai Dil Mein Ayi,
Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen

Hamain Chaho Tum Aur Ham Tum Ko Chahen,
Idhar Tum Nibaho, Udhar Ham Nibahain
Usi Se Hai Ram Dra Aashnai,
Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen

Pehali Si Ik Ramz Mehro Wafa Hai
Isay Pochta Hai Tu Dil Pochta Hai
Nahi Jati Munh Se Ye Hargaz Btai
Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen

Bala Se Koi Ghar Bhla Ya Bura Ho,
Hmain Kya Gharz Aur Tumhai Kaam Kya Hai
Zafar Ab Kisi Ki Burai Bhlai,
Na Tum Ham Se Pocho Na Hum Tum Se Pochen

Na Aya Hun Na Mein Laya Gya Gun – Ghazal

Na Aya Hun Na Mein Laya Gya Gun
Mein Harf Kun Hun Farmaya Gya Hun

Meri Apni Nahi Koi Sorat
Har Ik Sorat Se Behlaya Gya Hun

Bohat Badle Mere Andaz Lekin
Jahan Khoya Wahen Paya Gya Hun

Wajod E Ghair Ho Kese Gawara
Teri Rahon Mein Be Saya Gya Hun

Na Jane Kon Si Manzil Hai Wasif
Jahan Nehla Ke Blwaya Gya Hun

Poet: Wasif Ali Wasif