Phal Se Bharpur Tu
					
		Khud-Ba-Khud Shakh Lachak Jaye Gi
Phal Se Bharpur Tu Ho Lene Do
					
		Aaj Phir Bhuj Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Chiragh
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Diya
					
		Aamir Kisi Ko Zulfen, Kisi Ko Pasand Aankhen
Hai Jo Zair-e Lab Til, Hai Wo Jaan Kisi Ki
					
		Aamer Dukh Diye Tum Ne Tu Kya, Sab Ne Diye
Teri Soghat Ye Dolat Meri, Mera Ye Khayal Hai
					
		Wo Mujh Se Apna Pata Pochne Ko Aa Nikle
Keh Jin Se Mein Ne Khud Apna Suragh Paya Tha
					
		Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hun Mein
Ke Tu Mil Bhi Agar Jaye Tu Ab Milne Ka Gham Ho Ga
					
		Jis Aankh Ne Dekha Tujhe Us Aankh Ko Dekhon
Hai Is Ke Siwa Kya Tere Dedaar Ki Soorat