Numan Ijaz

Us Kaa Chehra Bhi Hai

masjid main na milay

Us Kaa Chehra Bhi Hai Usi Ki Terhan Maghroor
Koi Dekhe To Kaisay Woh Rehta Hai Sab Se Daur

Lagta Hai Ho Bah Ho Usi Tajallii Jaissa
Jis Se Jal Gaya Ho Ga Koh-e Toor

Mila Neh Parhi Namazain Aur Kya Chehra Roshan
Roshan Uss Jaissa Jo Chhalakta Hai Us Ki Peshani Se Noor

Masjid Mein Nah Miley To Saqi Ki Nazar Se Sheikh
Daikhna Us Ki Ankhoo Mein Khuda Miley Ga Zaroor

Woh Chehra Tha Ro Bah Ro Mere, Chuva Nah Ussay
Usay Sharafat Kaho Ya Keh Do Bandah Tha Majboor

Aaj Thi Zaroorat Kisi Yaar Ki

kisi yaar ki

Aaj Thi Zaroorat Kisi Yaar Ki
Kisi Apne Kisi Gham Khaar Ki

Kis Tarap Mein Bahe Ansoo
Kami Thi Shayad Pyar Ki

Doonda Hal Unkee Mushkilaat Ka
Sheikh Hotay To Baat Thi Ikhtiyar Ki

Bhool Kar Mout, Mangi Kher Unkee
Hafta Waar Ki Ibadat Parvar-digaar Ki

Numan Mangta Apne Liye To Mil Jata
Magar Aazmiash Thi Dil E Be Qarar Ki

Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala

unke khat

Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala
Dhoondata Hon Wohi Chehra, Jo Nah Mila

Rashk Uss Par, Jis Ney Paaya Unhen
Unke Chahanay Walon Se Kya Gilla

Is Gham Mein Sirf Mein Nahi Saqi
Aaj Mehfl Mein Zahid Ko Bhi Pila

Resham Se Naazuk Mohabbat Ki Quba
Jo Phatay Ik Baar Dobarah Nah Sulaa

Gul Farosh Ke Baagh Mein Bahhar Aayi
Koi To Bachaaye! Ghulaab Khula

Yaad Karne Hain Unke Ehad Sabhi
Khudaaraa Noman , Khat Abhi Nah Jala

Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum

yaad-e janaan

Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum
Khud Ko Rahay Ujartay Yaad E Janan Mein Hum

Mushkil Nah Ho Yaad Karne Mein, Jaun Ki Terhan
Uska Chehra Rahay Abharte Yaad E Janan Mein Hum

Is Shehr-e Biyabaan Mein, Dekh Kar Mout Apni
Bhage Janan Janan Pukaartay Yaad E Janan Mein Hum

Roye Morak Ke Samnay, Sisak Sisak Kar Badshah
Apni Shahi Ka Libada Utaartay Yaad E Janan Mein Hum

Baithy Woh Maghrour Samnay, Liye Anaa Hum Sath Mein
Dekhte Unhen, Kisi Ka Buut Nikharty Yaad E Janan Mein Hum

Ishq Par Geet Likhon Kyun Kar

janna mai chahye

Ishq Par Geet Likhon Kyun Kar, Ishhq Mein Raha Suror Nai
Sur Taal Ke Nashay Mein Jhoom Uttha, Charha Koi Fatoor Nahi

Meri Haalat Par Nah Taras Kha, Ke Abhi Jaan Se Guzarna Hai
Khudi Bana Rakhi Hai Yeh Haalat Apni, Musawir Ka Qasoor Nahi

Mujhe Jannat Mein Bhi Chahiye Sirf Aur Sirf Tera Sath
Wahan Bhi Talab-e Takha, Talab-e Meh Ya Talab-e Hoor Nahi

Talabb Yun Jaisay Aawaz Ko Alfaaz Ki, Geet Ko Saaz Ki
Lekin Chean Lon Teri Khusi Yeh Bhi Manzoor Nahi

Woh Gunah Kiye Jo Batao To Maan Len Ustad Apna
Un Gnahgaron Mein Lekin Abhi Hona Mashhoor Nahi

Koi Kar Na Day Numan Zakhme Mujhe, Pahani Hathkari Is Liye
Warna Mein Koi Mujrim Nahi, Tairay Zandan Mein Mehsoor Nahi

Jis Duniya Se Tum Darti Thi

teri neendain

Jis Duniya Se Tum Darti Thi, Ussay Batlaye Betha Hon
Jo Bhi Tha Qissa Mohabbat, Sab Sunaye Betha Hon

Pakdae Haath Mein Jaam, Gum Hon Apni Hasti Mein
Aur Inhain Le Kar Naam Kkhuda, Kkhuda Se Dry Betha Hon

Pooch Rahay Hain, Yeh Kya Kaisay, Yeh Sun-hwa Kaisay
Khail Kar Unki Kam Aqli Se Jadu Dikhaye Betha Hon

Ruut Jagay To Farz Hain, Unn Par Jinhen Ishhq Ho
Kamaal Yeh Ke Teri Bhi Neendain Uraye Betha Hon

Mera Rabt Tha Khush Haloon Se, Aur Zabt Ki Thi Baat Kya
Ab Yeh Haal Hai Ke Majnu Sa Khabt Apnya Betha Hon