The ghazal
Read it in Urdu script-
Ishq Par Geet Likhon Kyun Kar, Ishhq Mein Raha Suror Nai Sur Taal Ke Nashay Mein Jhoom Uttha, Charha Koi Fatoor Nahi
-
Meri Haalat Par Nah Taras Kha, Ke Abhi Jaan Se Guzarna Hai Khudi Bana Rakhi Hai Yeh Haalat Apni, Musawir Ka Qasoor Nahi
-
Mujhe Jannat Mein Bhi Chahiye Sirf Aur Sirf Tera Sath Wahan Bhi Talab-e Takha, Talab-e Meh Ya Talab-e Hoor Nahi
-
Talabb Yun Jaisay Aawaz Ko Alfaaz Ki, Geet Ko Saaz Ki Lekin Chean Lon Teri Khusi Yeh Bhi Manzoor Nahi
-
Woh Gunah Kiye Jo Batao To Maan Len Ustad Apna Un Gnahgaron Mein Lekin Abhi Hona Mashhoor Nahi
-
Koi Kar Na Day Numan Zakhme Mujhe, Pahani Hathkari Is Liye Warna Mein Koi Mujrim Nahi, Tairay Zandan Mein Mehsoor Nahi
Submitted by Numan Ijaz


