The ghazal
Read it in Urdu script-
Mere Lafz Nahi Muhtaaj Kisi Soorat Ke Mein Likhta Hon Faqat Haal Seerat Ke
-
Mein Ny Gava Diye Sabhi Dost Apne Ab Sath Mehez Log Hain Zaroorat Ke
-
Sukoon Darkaar Nahi, Apna Hi Hon Dushman Chahiye Lamhay Wohi Jo They Musarrat Ke
-
Dil! Nikalay Gaye Jis Imarat Se Hum Uthaiye Hue Hain Boojh Usi Imarat Ke
-
Jo Din Guzaray They Tairay Hijar Mein Jaan! Woh Din They Meri Shararat Ke
-
Hui Muddat Aankhon Ko Chamkay Hue Ab Bakhash Day Ahaef Ziyarat Ke
-
Muyassar Rahay Sirf Mujhe Samaat Teri Hum Nahi Jayen Ge Peechay Shohrat Ke
-
Muslat Kiye Noman , Tum Ny Woh Faislay Bhi Hum Jin Par Rakhtay They Haq Mushawarat Ke
Submitted by Numan Ijaz


