The ghazal
Read it in Urdu script-
Us Kaa Chehra Bhi Hai Usi Ki Terhan Maghroor Koi Dekhe To Kaisay Woh Rehta Hai Sab Se Daur
-
Lagta Hai Ho Bah Ho Usi Tajallii Jaissa Jis Se Jal Gaya Ho Ga Koh-e Toor
-
Mila Neh Parhi Namazain Aur Kya Chehra Roshan Roshan Uss Jaissa Jo Chhalakta Hai Us Ki Peshani Se Noor
-
Masjid Mein Nah Miley To Saqi Ki Nazar Se Sheikh Daikhna Us Ki Ankhoo Mein Khuda Miley Ga Zaroor
-
Woh Chehra Tha Ro Bah Ro Mere, Chuva Nah Ussay Usay Sharafat Kaho Ya Keh Do Bandah Tha Majboor
Submitted by Numan Ijaz


