Us Kaa Chehra Bhi Hai

Us Kaa Chehra Bhi Hai Usi Ki Terhan Maghroor
Koi Dekhe To Kaisay Woh Rehta Hai Sab Se Daur
Lagta Hai Ho Bah Ho Usi Tajallii Jaissa
Jis Se Jal Gaya Ho Ga Koh-e Toor
Mila Neh Parhi Namazain Aur Kya Chehra Roshan
Roshan Uss Jaissa Jo Chhalakta Hai Us Ki Peshani Se Noor
Masjid Mein Nah Miley To Saqi Ki Nazar Se Sheikh
Daikhna Us Ki Ankhoo Mein Khuda Miley Ga Zaroor
Woh Chehra Tha Ro Bah Ro Mere, Chuva Nah Ussay
Usay Sharafat Kaho Ya Keh Do Bandah Tha Majboor
Aaj Thi Zaroorat Kisi Yaar Ki

Aaj Thi Zaroorat Kisi Yaar Ki
Kisi Apne Kisi Gham Khaar Ki
Kis Tarap Mein Bahe Ansoo
Kami Thi Shayad Pyar Ki
Doonda Hal Unkee Mushkilaat Ka
Sheikh Hotay To Baat Thi Ikhtiyar Ki
Bhool Kar Mout, Mangi Kher Unkee
Hafta Waar Ki Ibadat Parvar-digaar Ki
Numan Mangta Apne Liye To Mil Jata
Magar Aazmiash Thi Dil E Be Qarar Ki
Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala

Ik Buraii Ke Asaib Mein Hon Mubtala
Dhoondata Hon Wohi Chehra, Jo Nah Mila
Rashk Uss Par, Jis Ney Paaya Unhen
Unke Chahanay Walon Se Kya Gilla
Is Gham Mein Sirf Mein Nahi Saqi
Aaj Mehfl Mein Zahid Ko Bhi Pila
Resham Se Naazuk Mohabbat Ki Quba
Jo Phatay Ik Baar Dobarah Nah Sulaa
Gul Farosh Ke Baagh Mein Bahhar Aayi
Koi To Bachaaye! Ghulaab Khula
Yaad Karne Hain Unke Ehad Sabhi
Khudaaraa Noman , Khat Abhi Nah Jala
Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum

Saal Ha Saal Guzartay Yaad E Janan Mein Hum
Khud Ko Rahay Ujartay Yaad E Janan Mein Hum
Mushkil Nah Ho Yaad Karne Mein, Jaun Ki Terhan
Uska Chehra Rahay Abharte Yaad E Janan Mein Hum
Is Shehr-e Biyabaan Mein, Dekh Kar Mout Apni
Bhage Janan Janan Pukaartay Yaad E Janan Mein Hum
Roye Morak Ke Samnay, Sisak Sisak Kar Badshah
Apni Shahi Ka Libada Utaartay Yaad E Janan Mein Hum
Baithy Woh Maghrour Samnay, Liye Anaa Hum Sath Mein
Dekhte Unhen, Kisi Ka Buut Nikharty Yaad E Janan Mein Hum
Mere Lafz Nahi Muhtaaj Kisi Soorat Ke

Mere Lafz Nahi Muhtaaj Kisi Soorat Ke
Mein Likhta Hon Faqat Haal Seerat Ke
Mein Ny Gava Diye Sabhi Dost Apne
Ab Sath Mehez Log Hain Zaroorat Ke
Sukoon Darkaar Nahi, Apna Hi Hon Dushman
Chahiye Lamhay Wohi Jo They Musarrat Ke
Dil! Nikalay Gaye Jis Imarat Se Hum
Uthaiye Hue Hain Boojh Usi Imarat Ke Continue reading “Mere Lafz Nahi Muhtaaj Kisi Soorat Ke”
Ishq Par Geet Likhon Kyun Kar

Ishq Par Geet Likhon Kyun Kar, Ishhq Mein Raha Suror Nai
Sur Taal Ke Nashay Mein Jhoom Uttha, Charha Koi Fatoor Nahi
Meri Haalat Par Nah Taras Kha, Ke Abhi Jaan Se Guzarna Hai
Khudi Bana Rakhi Hai Yeh Haalat Apni, Musawir Ka Qasoor Nahi
Mujhe Jannat Mein Bhi Chahiye Sirf Aur Sirf Tera Sath
Wahan Bhi Talab-e Takha, Talab-e Meh Ya Talab-e Hoor Nahi
Talabb Yun Jaisay Aawaz Ko Alfaaz Ki, Geet Ko Saaz Ki
Lekin Chean Lon Teri Khusi Yeh Bhi Manzoor Nahi
Woh Gunah Kiye Jo Batao To Maan Len Ustad Apna
Un Gnahgaron Mein Lekin Abhi Hona Mashhoor Nahi
Koi Kar Na Day Numan Zakhme Mujhe, Pahani Hathkari Is Liye
Warna Mein Koi Mujrim Nahi, Tairay Zandan Mein Mehsoor Nahi
Zakhmi Hai Dil Magar Dawa Ki Talabb Nahi

Zakhmi Hai Dil Magar Dawa Ki Talabb Nahi
Khuhsi Gawara Nahi Haan Kisi Sabab Nahi
Maliye Magar Zara Katra Kar Milein Huzoor
Ab Munkar-e Wafa Hon Wohi Ba Adab Nahi
Martay Hain Roz Kayi Log Raah E Wafa Mein Yun
Unkee Qabar Par Koi Naam Nahi Kutba Nasb Nahi Continue reading “Zakhmi Hai Dil Magar Dawa Ki Talabb Nahi”
Jis Duniya Se Tum Darti Thi

Jis Duniya Se Tum Darti Thi, Ussay Batlaye Betha Hon
Jo Bhi Tha Qissa Mohabbat, Sab Sunaye Betha Hon
Pakdae Haath Mein Jaam, Gum Hon Apni Hasti Mein
Aur Inhain Le Kar Naam Kkhuda, Kkhuda Se Dry Betha Hon
Pooch Rahay Hain, Yeh Kya Kaisay, Yeh Sun-hwa Kaisay
Khail Kar Unki Kam Aqli Se Jadu Dikhaye Betha Hon
Ruut Jagay To Farz Hain, Unn Par Jinhen Ishhq Ho
Kamaal Yeh Ke Teri Bhi Neendain Uraye Betha Hon
Mera Rabt Tha Khush Haloon Se, Aur Zabt Ki Thi Baat Kya
Ab Yeh Haal Hai Ke Majnu Sa Khabt Apnya Betha Hon